अगर आप PART TIME HOMEBASED WORK में INTERESTED है तो इस वेबसाइट के सबसे निचे दिए गए फॉर्म को जरुर FILL-UP कर दे|

Internet banking ke through International fund transfer kaise karte hai?

Internet banking ke through International fund transfer kaise karte hai?

Dear friends, agar aap internet banking ke through international fund transfer karna chahte hai to sabse pehle apko apne internet banking account me login karna hoga.
Generally sabhi log local apne country me easily fund transfer kar lete hai.Lekin problem tab hota hai jab humko internet banking ke through international fund transfer karna hota hai.International fund transfer kehne ka matlab hai ki ek country se dusre country me fund transfer karna chahte hai.for example : aap India me rehte hai aur aap internet banking ke through America (us) me fund transfer karna chahte hai.Isko hi international fund transfer kaha jata hai.Yaha per main apko yeh saara process samajhaane ke liye State bank of India ke internet banking ka help luga.


Apne internet banking se international fund transfer karne ke liye apko niche bataye gaye kuch steps follow karne padege : - 

a) Sabse pehle apko Retail customer ke roop me apne online internet banking account me login karna chahiye.

Video Intruction https://www.youtube.com/watch?v=NydiJsvtjwg

b) Uske baad apko profile section me jaana hoga.Profile section me jaate hi apse profile password pucha jaega.Apko apna profile password sahi-sahi provide karna hai.

c) Uske baad aap international beneficiary me jakar sabse pehle international fund transfer jaha karna hai apko uska bank account sahi – sahi add kar de.

d) Uske baad apko Payment/transfer link ko click karna hai.

e) Uske baad apko “international fund transfer” option ko click karna hai.

f) Aap uss bank account ko select kare jaha se apko fund send karna hai.kehne ka matlab hai ki aap uss account ko select kare jis me se fund deduct ho international fund transfer karne ke baad.

g) Uske baad apko amount type karna hota hai jo apko transfer karna hai.

h) Remarks field me aap apna remark dale kyuki jab aap online transfer karege to yaha remark apke transaction ke sath display hoga.

i) Iske baad aap uss international bank account ke select karne jis me apko fund transfer karna hai.Jin international beneficiary ka account apne pehle se add kar raha hai unka account niche show hoga apko aur usme se apko desire account select karna hai.Agar international bank account add nahi hai to sabse pehle aap usko add jarur kar le kyuki international transfer karne se pehle beneficiary ka bank account add hona chahiye.

J) Uske baad niche diye gaye “ submit “ button ko click kar de.

k) Iske baad apko niche scree show hoga jisme apne details diya hai wo saara show hota rahega.Isko summary screen bhi keh sakte hai.Agar summary screen me saara details sahi sahi diya hua rehta hai to aa phir usko acche se verify kar le.

Video Intruction https://www.youtube.com/watch?v=NydiJsvtjwg

l) Agar saara details sahi hai to uske baad aap “confirm” button ko click kar de.

m) jaise hi aap confirm button ko click kar dege apke mobile per ek security sms code aayega.Apne jo bhi mobile number apne internet banking me register kar ke rakha hai security code uss number per hi aayega.

n) Confirm button ko click karne ke baad apse sms security code pucha jayega.Apko sahi sahi code ko waha per enter karna hai aur uske baad submit karna hai.Submit button click karte hai apka international fund transfer complete ho jaega.

o) uske baad next screen per apko transaction number (reference number ) provide karwa diya jayega.Agar apko future me uss transaction ke baare me pata karna ho to apke pass reference number hona jaruri hai otherwise information pata karna bahu muskil ho jaata hai.

p) Next screen per apko bata diya jata hai apka international fund transfer kab tak aur kis din tak complet ho jayega. .

q) Agar apne new international beneficiary account add kiya hai to kam se kam 5 din tak aap 50,000 rs ka transaction usme kar sakte hai uss se jyada nahi.

Dear friends , maine yaha per diye gaye video me bahut hi acche se apko bataya hai ki aap internet banking ke through international fund transfer kaise kar sakte hai.Kindly diya gaya video jarur watch kare.


Video Intruction https://www.youtube.com/watch?v=NydiJsvtjwg

-------------------------------

Want to Ask question click here

-
Follow Me
Mr. Abhishek
www.vic2job.blogspot.com
My facebook link : www.facebook.com/abhi612
My Twitter link : www.twitter.com/vic2dataentry
My Youtube videos : www.youtube.com/user/vic2dataentry 

No comments:

Post a Comment